Backlinks Kya hai – backlink kaise banaye ? Full Guide in Hindi

Hey Friends , Welcome to IndianBlog.Co.In. Is Blog me yeh hmari pehli post hai or hum sabse pehle backlinks ke bare me btayenge backlinks kya hota hai? or yeh SEO ke liye kyu jaruri hai , main apni trf se iski full information dene ki puri koshish karunga , what are backlinks or why links are important for SEO?



Backlinks Kya hai ?

Backlinks kya hai? Backlinks woh hai jo apki website ka link kisi aur ki website me add ho, aur visitor us website se apki link pe click karke apki site me ate hai. then apki website ya blog ko ek backlink mil jata hai. jaise maan ljiye main apki web ( example.com ) apne blog pe add karta hun to blog me bohat bare visitor aaa rahe ho to unme se ek na ek visitors mere blog par apki site ki link pe click karke apke blog par ayenge to us site ko ek backlink mil jata hai.

backlinks se apko bohat sare fayde hote hai jaise backlinks milne pe search engine apki site ko jaldi index karne lag jata hai, apki site pe traffic kisi or site se ane lagta hai ( isko refferal kehte hai ) or isse apki site ya blog ki authority b increase hoti hai.

Backlinks two types ki hoti hai

1.)  Do-follow

2.)  No-follow

1.) Do-follow Backlinks :- yadhi koi website ek website ko do-follow backlinks deti hai to google usko jaldi index kar leta hai. dofollow links ke liye  bloggers or websites owners isko rel=”dofollow” tag ka use karte hai

<a rel="dofollow" href="http://indianblog.co.in">indian blog</a>

Or

<a href="http://indianblog.co.in">indian blog</a>

Dofollow Link ek Link Juice pass karta hai, is type ka link apki site ko mile to google apki web bohat jaldi rank kar dega if jis web se apko dofollow backlinks us site ki DA PA high ho toh.

2.) No-follow Backlinks :-  No-follow links woh link hote hai jo ek website ko dusri web pe link pass karne par allow nahi karta hai or no-follow link ki value do-follow ke mukable bohat kam hoti hai, jisse Search Engine Optimization no-follow links ko index nahi karta hai. no-follow links ke liye rel=”nofollow” tag ka use karta hai



<a rel="nofollow" href="http://indianblog.co.in">indian blog</a>

Other Types of Backlinks

Internal Links :-  If ham apne blog ka link kisi other usi blog ke post me dete hai toh usko internal link kehte hai

External Links :- if ham apni website ka links kisi other websites me add karte hai jaise facebook, youtube, yahoo or others websites me apne site ka link add karte hai toh isko external links kehte hai

High or Low Quality Links :-  High Quality Links woh links hote hai koi aisi website jis website ka page rank or DA PA high ho or us web se hume apne blog ya site ko ek backlink mil jata hai to Search Engine Optimization hmari site jaldi rank kar degi. Low Quality links woh links hote hai jaise porn, adults websites me hmari site ka link add ho. is type ki backlinks google apki web ko permanent remove b kar sakta hai.

Link Juice Kya hota hai?
agar koi b website ya Blog Apki site ko Dofollow backlinks deta hai toh is type ka backlinks ek link juice pass karta hai. isko link juice kehte hai iski help se apki site ki ranking or authority increase hoti hai

Anchor Text Links
Anchor Text woh hote hai jisko hyperlink me use kiya jata hai. jaise kisi other website ka link humhari site same ho ya hmari koi other post same ho to hum usko apni blog me laga lete hai usko anchor text kehte hai. jaise koi b visitors or users article read karta hai to woh same link ko click karke other post ya website me pahunch jata hai. Anchor text me koi b links ho sakta hai jaise internal or external links, no-follow or do-follow

Why Links Are Important for SEO?

Backlinks SEO ke liye kyu jaruri hai?  :- Backlinks SEO ke liye Isliye Jaruri hai kyunki yeh Hmari site ko rank karne me help karta hain or Isk sath sath DA PA b increase hoti hai. jisse apki site ki posts ya pages jaldi search engine me rank hote hai or Isse Organic Traffic bhi  increase hota hai

Referral Traffic :- agar koi website apko backlinks deti hai toh uski website or blog me apki site ka link add hoga toh woh visitors link pe click karke apki blog me chale jayenge. isko referral traffic bolte hai . search engine ese types ke traffic mostly bohat pasand karta hai jiski help se apki site jaldi rank karne lag jayegi

Search Engine me fast index karne ke liye :- agar apki site me  high quality article hai or backlinks 0 hai toh Search Engine me Index hone me bohat time lagta hai or yadhi apki site me quality backlinks hai toh Search Engine me jaldi index ho jati hai or yadhi search engine jab apki site ko index karta hai to woh sabse pehle apki site ki backlinks pe focus karta hai apki site me kis kis trh ki backlinks hai or kaisi kaisi sites ke sath judi huyee hai or apki site me kaha kaha se traffic ata hai or app fer kis bare me information de rahe hai uski help se search engine apki site ko index karne ke liye help karti hai.

Improve Search Ranking :- Agar apki website ya blog ko kisi other website se do-follow link mila hai or jab koi visitor us web ko search karega to us search engine result me apki website bhi show hogi, high authority websites like :- forbes , huffingtonpost , shoutmeloud  or b badi badi website se apko backlinks mile to apki site jaldi rank karegi or isk saath saath Domain Authority bhi increase hogi.  woh apko isme Long Terms Successfull milti rahegi.


How to Make Backlinks ( Apni site ke liye backlinks kaise banaye )

Backlinks banate time apko main points dhyaan me rakhne hoge High Quality backlinks Bnanaa, low quality backlinks kabhi mat bnana otherwise apki site permanent block ho sakti hai.  main apko suggest karunga app hamesha us websites backlinks bnana jis website ki authority high ho

 Comment on Other Blogs
 Directory Submission
 Forum Posting
 Article Submission
 Guest Posting

Comment on Other Blogs :- aj ke time Indian me bohat sare ese blogs kuch blogs ki authority high hai aur kuch blogs ke nahi. iske liye hume blogs ki authority check karne ke liye SEO tools use karne padenge. or yeh b check karna pdega kon sa blog do-follow backlink deta hai aur kon sa blog no-follow. SEO tools ki help se app blogs find karein or make rule per day me 5-10 hi comment karein

Directory Submission :-  app apni blog ko directory submission me b add karke backlinks le sakte hai. don’t use automatic directory submission

Forum Posting :-  app apni blog ya site ko forum me post krke backlinks le sakte hai. dhyaan rakhein jis information related ka forum hai usi ki information ke bare me hi post karein or sath me apne blog ka link add kar dal dena. most famous forums like :- cnet , bbpress , mysql etc.

Article Submission :- Apni website ko jaldi karane ke liye ap article submission kar sakte hai search engine me bhi bohat sari articles submission sites list mil jayegi jaise articles, hubpages , ehow , sites.google , selfgrowth etc.  aisi articles submission sites me ap apna article submit karke ek high quality backlinks le sakte hai.

Guest Posting :- ap apne blog ke topic jaisa other blog me post likh ke ap backlinks le sakte hai

Blog Par Quality Backlinks Banate time Savdhani Warte

Kabhi bhi Spam , Low Authority , Adults sites me Backlinks na banaye warna Search Engine Apke blog ko Unlike karna start kr dega or Apk blog ko penalize b lag sakti hai or iske baad sirf apke blog ka sirf nuksan hi nuksan hoga
Backlinks banate times koi b automatic tools use na karein like Smallseotools , GSA Software etc. warna search engine apki web ya blog ko search result se permanent remove kr dega.
Backlinks banate time app us website ya blog ki DA PA or sath me Spam Score jarur check karein.
Kabhi bhi Fiverr jesi freelancing Sites se Backlinks Buy na karein
Daily 10-12 Backlinks hi Banaye

Conclusion : Friends maine apni pehli post me Backlinks Kya hai or yeh SEO ke liye kyu Jaruri hai related full details me btaya hai Mere hisab maine Backlinks ke bare me full information de di hogi or apko achi tarah se samjh hoge or maine isk sath sath apko yeh sab btane ki koshish ki kaise high authority backlinks banaye, backlinks bnate time kon kon si baaton ka dhyaan rakhein agar apko yeh post achi lagi ho to apne friends ko or Social media me share karein or agar apko isk bare me aur b koi dubt ho or questions ho to app comment me puch sakte hai

Pages